Teri Dosti
Teri maujudgi mere
liye Sukoon ka ahsas hai
Jab tu Pas hai to
lagta hai….
Duniya mere pas hai
..!
Tera sang Ab itna hai
lubhata ..
Kaise nkaroon bayaan
ki ye kitna pyara ahsas hai…!
Ab duniya Ise “Ishq”
kahe to kya fark padta hai..
Are..! un murkho ko
kaun samjhayen…
Ye to use bhi khash
hai..
Jab tu hoti hai pass
to ek khushisi milti hai…
Tujhe pass ata dekh
chehre me muskan khilti hai..!
Bhool jata hoon sare
gamo ko ..
Jab tu mere Hath pe
hath rakhakar shant rahne ko kahti hai
Tera satwana bhara ek
shabd hi mere liye kafi hai
Sadat ere pass meri
har galti k liye mafi hai..!
Par jab tu dukhi hoti
hai …
Mere samne sannata sa
chha jata hai..
Un lamho ko yaad
karke..
Mera dil..
AB bhi sookh jata
hai..!
Un nain-ashqo ka
niklna mujhe Bhari lag jata hai..
Samay ata hai ..
Jata hai..
Par dil Un Palon ko
nahi bhool pata hai..!
Tere khilaf nikle eke
k shabd ka jawab hai mere pas..
Par sirf tujhse kiye
wadon k chalet ye Shaqsh ruk jata hai..!
Aj bhi chah loon to…
un sab ko rakh doon
tere kadmo me,
Are mat bhool ..
AAj bhi mere age
achha achha samandar sookh jata hai..!
Tujhe bhi pata hai
shekhiyon ki adat nahi hai mujhe..
Par logo ki harkto se
mera dil bhi ghabrata hai..
Tu har dam kahti hai
dhyan mat do!
Par dhyan na dekar
dhyan unka aur khich jata hai..!
Tere liye aKoot ijjat
hai mere dil me..
Isliye Aaj bhi “ashiq
mijaj tere samne ane se katrata hai..!
Pta nahi kya rishta
tha pichhle janam..
JO mera dil tujhe
apne itna kareeb pata hai..
Koi rahe na rahe tere
sath kya pta..
Par apni “Dosti “ ki
kasam…
Dunga hamesha tera
sath ye wada hai..
Tu thahre mere sang
kab tak pta nahi..
Par ye dosti thahregi
sada ye irada hai..
Kabhi dil na dukhane
ka ik wada hai..
Kyunki Tera Sang mere liye sabkuch se jada
hai..!
-Aditya Pratap Singh(APS)