Saturday 19 October 2013

# MERI MAJBOORIYAAN !



Ham fir se tere waqt me ana nahi chahte..!
Dil se dil milAKE tera dil dukhana nahi chahte..!
Agar laga diya hai marham waqt ne JakhMO PE..,
Ham Fir Se Jakhm kuREdkar Dard badhana nahi chahte ..!
Are ! Kah diya tune Mujhe bEwafA,
Par Kabhi karan dhOONdha kI haM wapas kYun ana nAHi cHahte..!
Bas kahti hai bhare naino se kI hamne dhokha diya ,
Meri Bhi MajbOOriyan to samajh 
KI kyUN Fir wahi mahfil sajana nahi chahte..!

Kahti hai meri chahte nahi hansil tujhko,
Kabhi Shant Dil se socha
 ki hAM ye dastAAn kyuN badhana naHI chahte..!
MAna Tujhe BEimtehaan mohabbat hai mujhse,
Par Ek baar dil ki nahi Dimaag 
ki samajh Ki Teri kUrwat me ham ana kYUN nahi chahte..!

ItnA jaldi gAIr banane ka Irada kar liya,
Kabhi mEre dil se puchha ...
HAm tujhe APna banana kYUn nahi chahte..!
Are ! Dil to hamara Bhi tadapta hai tere lIye..
Par Is duniya ke khauf se DObara ye batana nahi chahte..!

Ek baar ki mohabbat me ham aise hain toote..
Ki fir Teri Ore kadam badhana nahi chahte..!
Kabhi Alam tha ki tere ashqo me basti thi meri jaan..
Par aaj Ham teri yAdoon me bhi ana NAhi chahte..!

Batein to Aaj bhi karte hain tumse..
Par unme RushwaI ki jhalak HAm dikhana nAHi chahte..!
TUjhe dobara pana nahi chahte , kUCh batana nahi chahte..
kUCh lutana nahi Chahte , KUch pana naHI chahte...!

-APSPOEMS

Friday 11 October 2013

# उठ खड़ा हो  !


Khada hua hai maut ghat par ,
Kismat bhi to footi hai !
Fir bhi ishq na chhoda tune ,
Kya ye teri booti hai..??


Tera dil to dil hai mana
Par kya uske dil me khooti hai..!
Usne tujhko fenk nikala,
Fir Tujhe kyun ishq ki soojhi hai..??


Pyar mohabbat farzi hai sab..
Duniya bhi kahke roti hai..!
Tune to diya hai sab kuch,
Par usne diya wo dhokha hai..!
Jee le ab ya marja tu..!
Kisne tujhko roka hai...!

Are!   Bekhudi ke gam me kab tak,
Khud ko yun jalaye tooo..??
Thoda sa bahar to aa,
Dooja jeewan bhi anokha hai,
Are! bhool use jisne chhoda
In yadoon me tu kYUn jeeta hai ..!
Nayi neev aur nayin yaad se ,
Kar naya AAgaj kisne roka hai ..!
Bhari padi hai duniya inse,
Dhoondh le dooja mauka hai..!
Fir na kahna akela tha tu Kyunki ye jeewan nahi dhoka hai..!


                                                          ©  http://apspoems.blogspot.in/
                                               ©   www.facebook.com/apspoems 

Completed poem "MAUT"

# मौत !

Pahle koi mudkar bhi na dekhta tha

Aaj sab pas baith kar ansu gira rhe the

apni burai sunna adat thi meri 

aaj kyun log meri tarif kiye ja rhe the


aaj tak ek chadar bhi na hua tha nasseb
par aaj to foolon ki chadar udhaye ja rhe the

itni khushji to jite ji na huyi 

par aaj to apni hi maut pe khushi manaye ja rha tha

Ahha!! itni haseen hoti hai "maut" agar
to itne din jinda kyun rakha aye khuda
na khuf hai kuch khone ka shant hai dagar
khush jada to ab hun jab sabse hun juda..
Socha isi bahane sabne yaad to kiya !
hamare liye thoda sa hi sahi fariyaad to kiya !
ho sakta hai dafan kar bhool jayenge hamko ..
fir bhi ham ek aas me ..!
markar bhi jiye ja rhe the..
Apno ki bheed me apna kaun tha 
un sapno me mera sapna sapna kaun tha 
Manjil par khade the 
thithke se pade the
Chahat thi jane ki 
jannat ko pane ki
fir bhi us bewafa ki tees ko piye ja rhe the !


Us safed chadar k neeche ham jiye ja rhe the
Pahle dar tha is "MAUT" se
par ab iski bahon me ,
badi shiddat se ham,
Gahri neend liye ja rhe the !
Pahle "maut" ki fariyaad karte the ..
Aaj usi ke saye me tanhayi ka ghoot piye ja rhe the ..
Socha ki is duniya me na sahi,
Us duniya me to jee lenge ..
Par is markar Jee lene k khel me 
Khud ko Dhoka diye ja rhe the ..
Pahle lagti thi puri duniya hi bewafa
par ab apni hi wafa par shaq kiye ja rhe the
pahle Jeene ka afsos aur khushiya thi hamse khafa
Is berukhi duniya me jeeene se a66a ,
mAut ka khwab liye  ja rhe the !!

Ab jab khadi hai ye chaukhat par 
To ham bhi in berahamo k maje liye ja rhe the..!
Unka rona ..!
ham unke sabse priye hain iska dawa hona..!
Unka hamkO na chhodna ..!
Sir patak-patak kar hamare seene ko todna..!
Koi to kah do marne k baad bhi dard hota hai hame
Ye sab dhong karke pta nahi kisse chhhal kiye ja rhe the..!


Jinda rahte tarsha Liya "pyar" jaisi cheej ko
Aaj usi ek tarfe par ka vasta diye ja rhe the..!
Na jao chhodkar ,yun hAMse muh modkar ..!
Jabran hamse wo Ishq kiye ja rhe the..!

man to hua uth khade ho unki mehfil me ..!
Ijhar-e-mohabbat ka jawab de hi de sahil me
Par khauf tha unhe fir se Khone ka
So maut ki god me hi sukoon se jiye ja rhe the...!

                                                 ©apspoems at FACEBOOK
                                                 ©apspoems.blogspot.in