Saturday, 31 August 2013

# MA KI MAMTA !


Jab jab maine ankhe kholi ,
maa ka naam liya lab par
ye ik aisa shabd hai jag me,
warchaswa 6ipa hai sabka is par !
\

Ye ik aisa bandh jagat me,
Bada nirala hai ajab par .
Majbooti hai prastar si 
mamta hai bhari sab par !

jab jab...........lav par!


Khel rha tha mitro sang,
tab dhara hili ya mai satka .
Par jab maine hosh sambhala
sab jhad rhe the dhool ka phatka !


Daudi Daudi Aa gayi wo
Tab uth bhi na paya tha mai
Mujhe uthakar daud padi MAA
twarit chakshu aye the bhar !


Itni chinta itni bechaini
kad bhar rakt nikalane par
ye ma ki mamta hi hai
Jo bhari Pad gayi fir sab par


Jab Jab.........................lav par !

Anchal se saaf kiya rakt ko,
Fir dant dapat ki 6akbhar
bOLI-"Dekh-sun kar khela kar"
Aur gale laga liya kaskar!


Thodi si hi to lagi thi MAA !
Itna bechain kyun hoti hai ???
Khel Khel me hota hai sab
Fir tu MAA kyun roti hai ??


bAda atpatA sAwal kIya hAi,
terI umAr to 6oti hAI !
tu nAi samjhega isko
maiya aisi ho hoti hai !

Jab Jb Ankh khuli mEri,
MAA hi lab par hoti hai
Har jeet k baad maa hi bolun
harm khushi k pee6e ye hoti hai


Agar sath ho maa ka pyar
to har kabhi na hoti hai
MAA KI MAMTA k age to
Har Har k roti hai


Aboojh paheli hai ye jag me
Maa ki mamta ka na paar mila
koi na samjh saka isko
Ye aisi kyun hoti hai


MAA roop me is jag me,
parambrahm khud hote hain
Jo na karte iski ijjat 
Wahi sada to rote hain


Wo rote hain sab khote hain
jage jage wo sote hain
Apne khatir hi sada yahan 
 Mrityubeej Wo boten hain

Isse takrane ki himmat 
Khud parambrahm na karta hai
Ye anmol dhan jagat me
Kismat wale ko hi milta hai !

*************************
copyright @ apspoems

No comments:

Post a Comment