01. Mohabbat Ki Hai !
Kisi ki khalish mujhe nahi satati ,
Maine is akelepan se dosti ki hai .
Are ! Koi kya todega mujhse dosti nata .
Maine apne aap se mohabbat ki hai .
Itna bhi bura na tha mai pahle ,
Tum logo ne hi to khudgarzi paida ki hai .
Pahle to hame dusman se bhi ulfat thi,
Aaj apno se door jane ki chahat si hai .
Kis kadar chaha tha kabhi gaur to kiya nahi,
Bajay uske hame dagabaj kahne ki jurrat ki hai.
Kahten hain hamse dosti nibhani nahi ati ,
Hamne to apki berukhi se mohabbat ki hai .
Armano ko jeena kise kahte hain mujse puchho ,
Apne har jajbat se mohabbat ki hai.
Kaun kahta hai tum akele jee nahi sakte ,
Shiddat se jiyo ye duniya jannat si hai .
Koi kya chhodega mujhe bich majhdar me ,
maine majhdar ki tej dhar se mohabbat ki hai .
Patwar nahi hai nauka me to kya hua ,
bin patwar dariya par karne ki himakat ki hai .
Aya tha Duniya me to tanha hi tha
Isi baat ko yaad karke zindagi zi li hai .
Is akelapan se ladta to haar hi jata .
Isliye isse dosti me samjhdari hi hai .
kahten hain sab ki haar jaoge ek din .
Par ab mujhe haar se nahi "Pyar " se nafrat si hai .
Ab koi mujhe pyar kare na kare .
Maine apne har jajbat se mohabbat ki hai .
Log kahte hain Tanhai ek gahra samndar hai ,
Maine to is samandar ki gahrai se mohabbat ki hai .
kahten hain paresan hokar wapas hi aoge .
Inhe kya pta , yahin to maine jeene ki hasrat puri ki hai .
Ab maut ka khauf hai hi kise,
Maine to maut se bhi mohabbat ki hai .
Jab chahe mujhe le jae wo ,
Ab na apno ko khone ka dar , na kisi ki fikar si

No comments:
Post a Comment