Ek Dard
Tadap tadap ke jee rha tha mai
un beeten lamho ka kadwa ghoot Pee rha tha mai
Dillagi unse kee bandagi ki aas me
Par kya pata tha khud k liye kafan see rha tha mai
meri jindagi thi mom ki,
aur aag k ghar me prem rash pee rha tha mai
Pahli dafa dekha to wo apna sa laga
Mano mil gayi manjil aur jeewan taga
Badaata chala gaya kadam uski Ore
Apni hi maut ka intjaam kar rha tha mai
Raja to meri hi thi,
Ishq-e-gustakhi karne ki
Usko apna samjhkar,har pal bahon me bharne ki
Usko pane ki, Paas lane ki
Dil me har pal k liye basane ki
Yuhin badi shiddat se,
manjar-e-barbadi ke saye me jee rha tha mai
Tarsa liyeusne, in hotho ko khushhi k liye
Baraste rahe nainauski bekhudi k liye
Socha tha bade sukoon se ye jindagi kat jaegi
Hoga ahsas aur khusiyon se pat jaegi..!
Khuda ne bhi badi khushi se is dard-e-aag me apna hath seka
Sayad usne hamare dil ko doobte na dekha
Anshuon ke samandar me jee rha tha mai
Har lamha pyase gale me jahar ka ghoot pee rha tha mai
Dekha to tha hamne bhi parwane ka wo paglana
Uska yun shama k pass ana
pas aakar bar-bar jal jana
Jale pankho se bhi uske fere lagana
Aur usme kood kar uska mar jana..!
Khuda ne to koshish ki thi sayad samjhane ki
Mai hi na samjha ki wo Aag aur patanga tha mai
Iske badle wo hame zinda dafan kar dete
Unke hatho ki mitti k niche chain se sote
unke irado ki zara bhi bhanak hoti,
To Aaj is kadar mohabbat na roti
Kya jarurat thi hamari mahfil me ane ki
Isse pahle sabkuch theek , Aur khushi se jee rha tha mai
Jo kisi se na hara ,
wo khud se haar gaya
Unki mohabbat mekis kadar paar gaya
Bewafai to unne ki thi hamse
Phir bhi duwaon me unka naam le rha tha mai
Dastan-e-mohabbat me dhakel di jawani
Us dard bhare afsane me sanso ki rawani
Socha kabhi to guljar laut k aega
Pta nahi kin bharoso ki chadar seee rha tha mai
Aaj to zinda hai par aage kya hoga
Yun dard me tadapne se a66a ab lage maut ka choga
Kabra to usi din khod li thi hamne
Agar khud mare to bolenge bujdil rha hoga
Kaise samjhayen ki dil bacha hi nahi hamare pass
Unki yadoon ko zinda rakhne ki aas me khud ko pees rha tha mai ..! ;(
copyright @ aps
No comments:
Post a Comment