# मौत !
Pahle koi mudkar bhi na dekhta tha
Aaj sab pas baith kar ansu gira rhe the
apni burai sunna adat thi meri
aaj kyun log meri tarif kiye ja rhe the
aaj tak ek chadar bhi na hua tha nasseb
par aaj to foolon ki chadar udhaye ja rhe the
itni khushji to jite ji na huyi
par aaj to apni hi maut pe khushi manaye ja rha tha
Ahha!! itni haseen hoti hai "maut" agar
to itne din jinda kyun rakha aye khuda
na khuf hai kuch khone ka shant hai dagar
khush jada to ab hun jab sabse hun juda..
Socha isi bahane sabne yaad to kiya !
hamare liye thoda sa hi sahi fariyaad to kiya !
ho sakta hai dafan kar bhool jayenge hamko ..
fir bhi ham ek aas me ..!
markar bhi jiye ja rhe the..
Apno ki bheed me apna kaun tha
un sapno me mera sapna sapna kaun tha
Manjil par khade the
thithke se pade the
Chahat thi jane ki
jannat ko pane ki
fir bhi us bewafa ki tees ko piye ja rhe the !
Us safed chadar k neeche ham jiye ja rhe the
Pahle dar tha is "MAUT" se
par ab iski bahon me ,
badi shiddat se ham,
Gahri neend liye ja rhe the !
Pahle "maut" ki fariyaad karte the ..
Aaj usi ke saye me tanhayi ka ghoot piye ja rhe the ..
Socha ki is duniya me na sahi,
Us duniya me to jee lenge ..
Par is markar Jee lene k khel me
Khud ko Dhoka diye ja rhe the ..
Pahle lagti thi puri duniya hi bewafa
par ab apni hi wafa par shaq kiye ja rhe the
pahle Jeene ka afsos aur khushiya thi hamse khafa
Is berukhi duniya me jeeene se a66a ,
mAut ka khwab liye ja rhe the !!
Ab jab khadi hai ye chaukhat par
To ham bhi in berahamo k maje liye ja rhe the..!
Unka rona ..!
ham unke sabse priye hain iska dawa hona..!
Unka hamkO na chhodna ..!
Sir patak-patak kar hamare seene ko todna..!
Koi to kah do marne k baad bhi dard hota hai hame
Ye sab dhong karke pta nahi kisse chhhal kiye ja rhe the..!
Jinda rahte tarsha Liya "pyar" jaisi cheej ko
Aaj usi ek tarfe par ka vasta diye ja rhe the..!
Na jao chhodkar ,yun hAMse muh modkar ..!
Jabran hamse wo Ishq kiye ja rhe the..!
man to hua uth khade ho unki mehfil me ..!
Ijhar-e-mohabbat ka jawab de hi de sahil me
Par khauf tha unhe fir se Khone ka
So maut ki god me hi sukoon se jiye ja rhe the...!
©apspoems at FACEBOOK
©apspoems.blogspot.in

No comments:
Post a Comment