Thursday, 30 January 2014


#ARj-e-Sifarish

itnA bhi kya tere pass ana
fiR pade dil ko samjhana
waise bhi samjhauto se bhari hai jindagi
nahi chahte fir se samjhaute me Ana..!

terI wo khamoshI , bechain karti hai
kaise gujaroo waqt ek pal bhi tere sang jara batana..??
kahna to asaan hai ..shant rahna sheeekh..!
par jO man me tufaan macha hai
itna asaan nahi hai use shant karana..!

chahta to mai bhi hoon ek khusnuma jindagi
par kya karoon is dard-e-dil se
mushqil hai peechha chhudana .!!
ishq-e-janjaal me kaun fasna chahta hai
par dil bharne ki khwahish hai ek baar
isse pahle tay ho jaye hamara mar jana..!!

pta nahi kya sadma sa laga hai is dil ko
ab har apna bhi lagne laga hai anjana..!!
tere sang waqt gujarne ki khwahish ab bhi hai hame,
par darte hain iska kahin bhugtna na pad jae tujhko harzana..!!

chhupe huye ansuo ki sugbugahat nahi mapi,
muskahat dekhkar hi bhanp lete hai hamari khushi ka paimana..!
are dard-e-tanhai ka gahra samandar hai,
hamare bhawon ko mahsoos karke dekho jo bhi andar hain..!
ab bhI bacha sakte ho is yAARwar ko..
kya pta ! bad me sirf bache pachhtana..!!

No comments:

Post a Comment